Hello Friends aj mein aapko ek kamal ki trick ke bareme batane ja raha hu jisse ki aap apne Android Phone ko apne normal Wired Keyboard ke saath connect kar sakte ho aur use bhi kar sakte ho.
Ye trick mere liye to bahot hi helpful raha hope so aapko bhi ye trick accha  lage.

To Dosto Kahi bar kya hota hai ki humko apna office ka ya phir school ka ya phir aur kuch jaise ki Blog likhna aisa koi kam jo Computer ya Laptop ke wager nahi ho sakti aur jisme aapko Typing ka hi kam hai. Aur tav agar aisa ho ki bizli chali jay ya phir aapka Computer kharab hai us waqt aapko ye tarika bahot help karega.
Aur agar aap ek Student ho aur aap abhi Computer afford nahi kar sakte aur aap typing sikhna chahte ho aur apni typing skills ko aur accha karna chahte ho to ye trick aap hi ke liye hi hai. 😊

Requirements
·         is liye aapko chahiye OTG Cable
·         Wired Keyboard
·         Your Android Phone😁

Sabse Pehle Aapko ye jan lena hoga ki aapka phone OTG support karta hai ya nahi ye check aap apne phone mein OTG laga kar bhi check kar sakte ho ya phir Play Store mein koi OTG Checker app download karke bhi check kar sakte ho.

How To Use
·         OTG Cable ko aapne phone se Connect ki jiye
·         Phir apne Keyboard ko OTG Cable ke saath connect kar dijiye
·         Check karne ke liya koi bhi typing app open ki jiye jaisi ki Messege ya phir doosra koi....It's 100% Work

Note : Aur agar aapko apna blog ya phir koi office ka kam karna ho to phir Play Store se WPS OFFICE name ka ek app hai use download kar li jiye bahot hi accha app hai bilkul Free.
Aur ek amazing baat batau main is article ko mere phone se keyboard connect karke WPS OFFICE mein hi likha hai

Agar Aapko Ye Article Accha Laga To Niche Comment Karke Jarur Batana 😊
Aur Is Trick Ko Apne Friends Ke Saath bhi Share ki Jiye
Thank You!


Follow By Blog For Daily Updates https://joykahelp.blogspot.com
Follow Me On Facebook 👉 Facebook
JoyTube Official Facebook Page 👉 JoyTube

Subscribe My Youtube channel 👉 JoyTube Youtube

Post a Comment

أحدث أقدم